hai muamma ya kahani ishq hai aaine se khud-kalami ishq hai hanste hanste ro pade phir hans diye kya yahi aadat purani ishq hai ek tamanna ne jagaya tha junun us junun ki pasbani ishq hai zikr us ka na-mukammal hai magar khamoshi ki tarjumani ishq hai maut ke sab zawiye padhti hui hum sabhi ki zindagani ishq hai us ki jab shirin-bayani ko suna man baithe jawedani ishq hai