apne hone key jhalak deta hai fan kahin bhi ho chamak deta hai phul us ko bhi mahak deta hai hath jo us ko jhatak deta hai ghair tinka bhi uchak deta hai apna to apne key dhak deta hai aap andheron ka gila karte hain chand tare bhi falak deta hai pahle ji bhar ke jalata hai mujhe aur phir baad-e-khunuk deta hai jo shajar chahta hai phul aur phal apni shakhon ko lachak deta hai ab bhi sharmata hai sajan mera ab bhi aankhon ko jhapak deta hai zakhm to pahle bhi deta tha wo aaj-kal sath namak deta hai nind wo bhi to hasin hai 'ulfat' jab zara bap thapak deta hai