ye alag baat ki rah rah ke sada aai hai

ye alag baat ki rah rah ke sada aai hai
main ne bhi ab ke na sunne ki qasam khai hai

ab wo ek nam pukarun to zaban chhil jae
han wahi nam ki jo hasil-e-goyai hai

raat din yar ki galiyon mein pada rahta hun
ishq ka ishq hai ruswai ki ruswai hai

aisi tanhai ka aalam hai ki dil dub gaya
aur is par ye ghazab hai teri yaad aai hai

tum agar khun bhi roo to bhala kya hasil
hum na kahte the wo ladki badi harjai hai

hae wo aankhen jo raushan hain tasawwur mein mere
hae wo shakl jo ghazlon mein utar aai hai

ab ye aalam hai ki ashaar mein khun thukta hun
aur wo kahte hain faqat qafiya-paimai hai

ishq ja nikla tha phir ku-e-malamat ki taraf
aql phir khinch ke diwane ko le aai hai

hae wo aalam-e-sad-shauq use chum liya
tera paigham jo chupke se saba lai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close