apne hone se tu mukar gaya hai pyar ka bojh kya utar gaya hai koi milta nahin gareban-chaak is ka matlab hai qais mar gaya hai phir se fasl-e-bahaar aane tak phul dil ka bikhar bikhar gaya hai tu kahan hai use nahin malum dhundne tujh ko dar-ba-dar gaya hai aaine ko banane wala bhi aaina dekhte hi dar gaya hai kab yaqin aaega tujhe 'jazib' apne wade se wo mukar gaya hai