khush-rang-o-tar-o-taza jawani ki taraf aa pyasa hai to bahte hue pani ki taraf aa kuchh pal ke liye apne fasane ka waraq mod fursat se kabhi meri kahani ki taraf aa tarsil nahin hoti teri fikr-e-rasa ki ai zud-bayan husn-e-maani ki taraf aa parwaz ki khwahish hai to diwar-e-qafas tod jina hai to ab naql-e-makani ki taraf aa jauhar to khule tir-o-sinan ka tere 'akhtar' ladna hai to hum dushman-e-jaani ki taraf aa