apne jazbaat ko lafzon mein dabaun kab tak

apne jazbaat ko lafzon mein dabaun kab tak
main haqiqat ko mere khwab dikhaun kab tak

phir charaghon ko hawaon se bachane ke liye
apne hathon hi ko fanus banaun kab tak

dil-e-muztar ye bata jhuti tasalli ke liye
main tasawwur mein bhala us ko bulaun kab tak

jis ke insaf se qatil ko sukun hasil ho
aise munsif ko hare zakhm dikhaun kab tak

wo jo aa jaen to phir zid na karen jaane ki
baat ye un ko bataun to bataun kab tak

dast-e-iflas ki dastak ko musalsal sun kar
apne hathon mein niwalon ko uthaun kab tak

us ki aamad ki khabar sun ke main 'irfan' aakhir
apni palkon ko sar-e-rah bichhaun kab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close