sar jhuka de jis jagah par tera diwana abhi

sar jhuka de jis jagah par tera diwana abhi
but-kada bhi ho to ban jae khuda-khana abhi

dil mein baqi hai agar jazb-e-kalimana abhi
dekhiyega har jagah par nur-e-jaanana abhi

wo nazar aate hain mujh ko be-hijabana abhi
jazb-e-dil rahne de kuchh din aur diwana abhi

ma-siwa se be-khabar hai aur begana abhi
justuju mein teri sar-gardan hai diwana abhi

kyon na har lamha fuzun ho josh-e-rindana abhi
mil rahi hai un se paimana-ba-paimana abhi

kah raha hai mast ho kar tera mastana abhi
raqs mein saghar hai gardish mein hai paimana abhi

ek kiran jalwe ki tere ru-e-jaanana abhi
kar gai hosh-o-khirad se mujh ko begana abhi

hosh mein apne hai kuchh kuchh tera diwana abhi
ai nigah-e-naz koi aur paimana abhi

tere hathon se agar milte rahen jam-o-subu
har qadam par dal den buniyaad-e-mai-khana abhi

tere hi jalwon se hain mamur ye dair-o-haram
kaba dekha dekh aae ja ke but-khana abhi

dil to pahle hi se un ko de chuke hain a 'shafia'
ek baqi rah gaya hai sar ka nazrana abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close