apne jazbe nisar mat karte

apne jazbe nisar mat karte
waqt ka e'tibar mat karte

dagh zakhmon ke an-ginat honge
aablon ka shumar mat karte

darmiyan faslon ke sahra hain
ab mera intizar mat karte

ajnabi des ud gae panchhi
apne bachchon se pyar mat karte

nafraton ke qimar-khane mein
pyar ka karobar mat karte

pair to pattharon ke aadi hain
tai koi sabza-zar mat karte

ek mere jurm-e-be-gunahi ka
tazkira bar bar mat karte

zulm tarik istiara hai
sahab-e-eqtidar mat karte

'nur' is kucha-e-malamat mein
ehtiram-e-bahaar mat karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close