kahin zamin kahin aasman chhoD aae

kahin zamin kahin aasman chhod aae
dayar-karb mein apna makan chhod aae

nae safar pe nae mausamon ne di aawaz
kadi thi dhup magar saeban chhod aae

ye jaan kar bhi ki na-meharbaniyan hongi
purane shahar mein sab mehrban chhod aae

talatum-e-gham-e-dauran mein bah gae patwar
hawa ke hath mein hum baadban chhod aae

jahan se izn-e-takallum kabhi nahin milta
wahin pe apni darida zaban chhod aae

hamein pata tha ki mojiz-bayaniyan hongi
zaban-e-khalq magar bad-guman chhod aae

jahan kisi ko bhi apna pata nahin milta
wajud-e-'nur' wahin be-nishan chhod aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close