apne jazbon ki thakan yun bhi utari hum ne zindagi dasht-nawardi mein guzari hum ne kam na ki shahr pe suraj ne tamazat apni sardiyan khud hi fazaon pe kin tari hum ne zakhm jis hath pe tha kat diya hai us ko bas dikhai hai yahi kar-guzari hum ne jin ki taid pe chamke the ana ke jauhar phir sar-e-dar na dekhe wo hawari hum ne tujh ko malum nahin tir chalane wale said hote hue dekhe hain shikari hum ne