kab talak kirchiyan chunungi main sang-dil tujh se lad padungi main meri aankhen nahin rahin lekin aaina dekhti rahungi main man ke naqsh-e-qadam pe chalna hai sirf gudiya nahin rahungi main khinch kar ek lakir udasi ki rang manzar mein kuchh bharungi lafz ab raegan na honge mere in se phir zakhm-e-dil siyungi main