apne khwabon ke mai-kade mein hun rind hun main zara nashe mein hun maut hi meri aakhiri manzil main janam se hi qafile mein hun jab udunga falak bhi chumunga main abhi tak to ghonsle mein hun zindagi-bhar rahega sath un ka khubsurat mughaalate mein hun muskuraata hun ab ghamon mein bhi dosto main bahut maze mein hun haq-parasti hai mera nam 'dinesh' aaj-kal sirf aaine mein hun