chaman se gul se wo rishta purana dhundte rahna andheron mein bhi apna aashiyana dhundte rahna kabhi aalam-e-dauran se na thak kar baith jaana tum mohabbat ka ukhuwwat ka zamana dhundte rahna kisi ek par nahin rukti nazar apni tabiat hai hasin chehron pe zauq-e-dilbarana dhundte rahna meri nindon mein khwabon mein hai ye khwahish chhupi paiham tumhaare wasl ka sapna suhana dhundte rahna 'asad' hai justuju jis ki use pana to hai aksar yunhi rahna safar mein aana-jaana dhundte rahna