apne ko talash kar raha hun apni hi talab se dar raha hun tum log ho aandhiyon ki zad mein main qaht-e-hawa se mar raha hun khud apne hi qalb-e-khun-chakan mein khanjar ki tarah utar raha hun ai shahr-e-khayal ke musafir kya main tera ham-safar raha hun diwar pe daere hain kaise ye kaun hai kis se dar raha hun main shabnam-e-chashm-e-tar se ai subh kal raat bhi tar-ba-tar raha hun ek shakhs se talkh-kaam ho kar har shakhs ko pyar kar raha hun ai dajla-e-khun zara thaharna is rah se main guzar raha hun fariyaad ki zer-e-saya-e-gul main zahr-e-khizan se mar raha hun