itna hai zindagi ka talluq khushi ke sath ek ajnabi ho jaise kisi ajnabi ke sath suraj ufuq tak aate hi gahna gaya yahan kuchh tirgi bhi badhti rahi raushni ke sath hukkaam ka suluk wahi hai awam se ibn-e-ziyaad ka tha jo ibn-e-ali ke sath allah re taghaful-e-chaara-garan-e-waqt sunte hain dil ki baat magar be-dili ke sath tabqon mein rang-o-nasl ke uljha ke rakh diya ye zulm aadmi ne kiya aadmi ke sath