apne kumbe ki ye haalat nahin dekhi jati hum se har roz key hijrat nahin dekhi jati dil ne is taur se furqat ke maze lute hain teri aankhon mein mohabbat nahin dekhi jati tu bhi so le ki zara tujh ko sukun ho jae shab-e-furqat teri wahshat nahin dekhi jati pyas wo sab ki bujha kar bhi tahi-dast raha hum se dariya key ye ghurbat nahin dekhi jati hath uthate hi khuda se tujhe manga jae ishq mein aisi tijarat nahin dekhi jati tujh sa banne ki tamanna mein ye sargardan hai chand teri ye mashaqqat nahin dekhi jati apne ajdad ki qabron se juda ho ki nadim jo kamai hai wo daulat nahin dekhi jati