apne lafzon mein ki har chand ayan hun main bhi ban ke zakhmon ki kasak khud mein nihan hun main bhi tere aaghaz se anjam hai raushan mera barg-e-awara koi khak-e-rawan hun main bhi mo'tabar ab to bana ai nigah-e-naz mujhe is bhare shahr mein benam-o-nishan hun main bhi waza-dari ka kharidar kahin se lao apni tahzib ki uthti si dukan hun main bhi tere khwabon se hai aabaad kharaba mera teri yaadon mein karan-ta-ba-karan hun main bhi