apne manzar se juda tha ek din pani sahra mein khada tha ek din nind udte hue qalin pe thi samne shahr-e-bala tha ek din kai sadiyon mein nahin aaega us ne khat mein jo likha tha ek din phir yahi baat na main bhul saka main use bhul gaya tha ek din ek masarrat bhara din rakh hua hath se phul gira tha ek din jhilmilati hui lau yaad karo koi izhaar hua tha ek din aankh pani mein ghiri hai ab tak jaane kya us pe bana tha ek din