khauf-zada the kaun se log in sher-dileron se koi to itna puchhe in mitti ke dheron se din ke des se ud aate hain meri aankhon mein sath nibhana bhul gae the rang andheron se tir chalane wale ghar kya laut bhi paenge? kya ye panchhi dam de denge dur baseron se sham ka tara, subh ka pahla tara thahrega hajla-e-wasl mein raat rahegi, baat saweron se koi apne ghar ka rasta bhul saka hai kabhi? kya jaane kyun ud ud jaen kag munderon se khak ude to mere hathon meri khak ude mujh ko dar lagta hai, sanpon aur saperon se mujh ko jaanne wale 'khalid' jaan na paenge is chakkar mein nikla hun main, kitne pheron se