apne mar-mitne ke asbab bahut dekhta hun ishq wala hun tere khwab bahut dekhta hun ye bhi hai ek sabab is meri tanhai ka apne chaaron taraf ahbab bahut dekhta hun aur to aur teri yaad se bhi hun ghafil main yahan khud ko zafar-yab bahut dekhta hun kuchh to us husn mein rakhi hai khuda ne tasir aur kuchh logon ko betab bahut dekhta hun arsa-e-dahr to hai meri nigahon ka tilism jab bhi main dekhta hun khwab bahut dekhta hun in dinon apne ko rakhta hun bahut khud ke qarib in dinon dahr ko khun-nab bahut dekhta hun mujh ko marna hai kisi jhil si aaankhon mein 'tur' hai yahi wajh ki mahtab bahut dekhta hun