apne mazi ko charaghon mein basar hum ne kiya kat gai raat to didar-e-sahar hum ne kiya sirf jangen hi nahin jiti hain hain is duniya mein marka ishq ke maidan ka bhi sar hum ne kiya dekhne walon ki hairat ka thikana na raha ek patthar ko jo chamka ke guhar hum ne kiya chand mein aks nazar aaya hai tera jab se husn wale tujhe manzur-e-nazar hum ne kiya kaun sach bolta hai zalim-o-jabir ke khilaf kaam duniya mein ye be-khauf-o-khatar hum ne kiya bhul pana use aasan to nahin tha yaro kaam ye thoda sa mushkil tha magar hum ne kiya tab kahin ja ke ghazal rang hai lai 'rahbar' sirf ashaar mein jab khun-e-jigar hum ne kiya