dekho to mere nala-o-ah-o-fughan ki or ban is kadak se jawe hai kab aasman ki or masjid ko chhod aae kalisaiyan ki or chhoda nawah-e-kaba chale hum butan ki or zahid tere kamal pe maren hain pusht-e-pa lae faro sar apna jo pir-e-mughan ki or sukh nind be-khudi ki use turt aa gai laga jo gosh tuk bhi meri dastan ki or tukde jigar ke bah chale ham-rah-e-sail-e-ashk lata hai khinch khar-o-khas aab-e-rawan ki or zalim silah bandh ke aana ba-qasd-e-qatl kya hai zarur, apne kisi nim-jaan ki or kuchh kam nahin teri nigah-o-abru-o-mizha mat hath la tu khanjar-o-tegh-o-sinan ki or teri nigah-e-mehr ne mujh se wo kuchh kiya jo kuchh ki chashm-e-mah kare hai katan ki or un ankhdiyon ki putliyon se aankh ja lagi ja phirti nain nigah ab un abruwan ki or misra ye apna aaya 'jahandar' hum ko yaad chhoda nawah-e-kaba chale hum butan ki or