apne mazi se jo wirse mein mile hain hum ko

apne mazi se jo wirse mein mile hain hum ko
un usulon ki tijarat nahin hogi hum se

ahd-e-hazir ki har ek baat hamein dil se qubul
sirf tauhin-e-riwayat nahin hogi hum se

jhut bhi bolen sadaqat ke payambar bhi banen
hum ko bakhsho ye siyasat nahin hogi hum se

zakhm bhi khaen raqibon ko duaen bhi den
itni makhdush sharafat nahin hogi hum se

surkh patthar ke sanam hon ki wo patthar ke sanam
but-kadon mein to ibaadat nahin hogi hum se

hai itaat ke liye apna faqat ek khuda
na khudaon ki itaat nahin hogi hum se

ghair-mashrut rifaqat ke taraf-dar hain hum
shart ke sath rifaqat nahin hogi hum se

fikr-o-izhaar mein hum hukm ke paband nahin
shairi hasb-e-hidayat nahin hogi hum se

sirf baaten hi agar aap gawara kar len
aap ko koi shikayat nahin hogi hum se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close