dil mera khugar-e-alam hua jata hai ab sitam bhi tera inam hua jata hai zabt-e-gham maut ka paigham hua jata hai dil ki baaton mein mera kaam hua jata hai nisbat-e-khas to hai zulm pe yun shad the hum ye bhi andaz tera aam hua jata hai teri makhmur nigahon ke tasadduq mein koi waqif-e-raaz-e-mai-o-jam hua jata hai tark-e-ulfat se junun mujh ko hua yun hi sahi husn kyun larza-bar-andam hua jata hai dil jo tha saghar-e-sahba-e-sukun ai 'nakhshab' markaz-e-gardish-e-ayyam hua jata hai