apne ranj-o-gham banTe humse ba-KHabar nikle

apne ranj-o-gham bante hum se ba-khabar nikle
sath chalne walon mein koi ham-safar nikle

be-saadati thahre khwah ab hunar nikle
sab ne jis se roka tha hum wo kaam kar nikle

ek ajib sannata mahw-e-sher-khwani tha
hum jahan-jahan pahonche hum jidhar jidhar nikle

jaane kis ke hath aaen aur kya faza paen
phir alamaten ban kar mere baal-o-par nikle

gahre paniyon se kya aur dosto milta
meri khali aankhon mein sainkadon bhanwar nikle

manzilon ke pichhe bhi aur manzilen hongi
rahguzar se aage bhi koi rahguzar nikle

kaenat ki hasti ek faza-e-sarmasti
jaise chandni shab mein zehn gasht par nikle

hum ne un ko dekha hai hum ne un ko parkha hai
jitne dida-war nikle khase kam-nazar nikle

sirf main na tha tanha zad mein dhup ki aisa
meri tarah ke har-su anginat shajar nikle

kya bhare zamane mein bas yahi nahin mumkin
main kahin thahar jaun koi mera ghar nikle

dusron ne kya 'hairat' gham ko gham nahin samjha
hum magar ghalat nikle aur kis qadar nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close