apne safar mein tujh ko kai bar dekh kar rukta raha main rasta dushwar dekh kar shayad use pasand na aae ye sar-kashi shayad wo rok le mujhe is bar dekh kar jata hai dil hamara bhi ho kar haris-e-zakhm us khub-ru ke hath mein talwar dekh kar lab par hamare zabt ka tha qufl-e-khamushi aur aankh mein sukut tha inkar dekh kar haq par khada hun aur main haq ke liye lada mukre na koi mujh ko sar-e- dar dekh kar