yaad mujh ko karne wale mere pyare mar gae jin ko mujh se thi mohabbat log sare mar gae dukh mujhe is baat ka hai main akela rah gaya meri basti ke makin sab us kinare mar gae wo juda ho kar dobara mil sakega ya nahin karte karte umr bhar hum istikhare mar gae gaiki mein jitne sur the kha gai shoridgi shairi mein jitne bhi the istiare mar gae chand ne pahni qaba-e-abd aadhi raat ko meri aankhon mein kai raushan sitare mar gae khamushi ke sab kinae zud goi le udi rah gae alfaz baqi aur ishaare mar gae waqt karta hai hamesha aur hi kuchh faisle jo the lashkar mein bahadur dar ke mare mar gae