apne sar ilzam sare dhar chale ham to is jine ke hathon mar chale mere jiwan ka tamasha dekh kar log sare apne apne ghar chale sar ke bal chalte hain jis rah par sabhi hum hatheli par ye sar rakh kar chale ab ki shayad tum ko khushiyan hon nasib rang hum taswir mein sab bhar chale apni naslon ko bachane ke liye ek mada le ke sare nar chale apne tan par odh ke maila kafan hum tumhaare nam sab kuchh kar chale ab to apna pet pura bhar gaya ghas apne hisse ki hum char chale hijr ke mare the khali hath sab so wo le kar apne apne dar chale sab khazana mulk ka khali hua apni apni jeben sare bhar chale pyar ulfat aur mohabbat chhod kar har jagah har mod pe ab zar chale jab main thak ke maqbare mein so gai phir wahan neki chale nan shar chale jis jagah chalti thi thandi si hawa ab wahan har mod pe sarsar chale sab se unchi thi yahan teri ana aur hum ye choti bhi sar kar chale ruh pyasi rah na jae dosto aankh ke sab ashk hum pi kar chale