tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se utha diya wahin mahw-e-hairat-e-be-khudi mujhe aaina sa bana diya wo jo naqsh-e-pa ki tarah rahi thi numud apne wajud ki so kashish ne daman-e-naz ki use bhi zamin se mita diya rag-o-pai mein aag bhadak uthi phunke hai pada ye sabhi badan mujhe saqiya mai-e-atishin ka ye jam kaisa pila diya jabhi ja ke maktab-e-ishq mein sabaq-e-maqam-e-fana liya jo likha padha tha 'niyaz' ne so wo saf dil se bhula diya