apne siwa nahin hai kisi ma-siwa ka rang dekha hai hum ne aag jala kar hawa ka rang har gosha-e-bisat-e-chaman hai lahu lahu dhumen macha raha hai kisi ki ana ka rang aai jab apne shahr ki taswir samne aankhon ke aage phail gaya karbala ka rang jamti nahin nigah kisi tez chashm ki pahna hai qatilon ne bhi kaisa bala ka rang yak-rangi-e-hayat se ghabra na jaen kyon jo aaj ghair ka hai wahi aashna ka rang parwaz ki hai fikr ki gham baal-o-par ka hai 'asim' uda uda sa hai khalq-e-khuda ka rang