adu ka zikr nahin doston ka nam nahin zaban pe aaj koi harf-e-intiqam nahin dar-o-daricha ke dagh-o-charagh apni jagah mujhe jala ke na guzri to sham sham nahin chalo thahar nahin sakte guzar to sakte ho kahin kahin se shikasta hai dil tamam nahin jise pukarte phirte hain ku-ba-ku hum log wo ek ahd-e-tamanna hai sirf nam nahin ye khak-dan-e-ta'alluq hai pesh-o-pas mein na ja husul-e-atish-o-ab-o-hawa mudam nahin kai bujhe hue sinon ko aag hai darkar zaban pe nam tumhaara barae-nam nahin