apne tasawwuraat se aage nikal gaya kal shab mein kaenat se aage nikal gaya suraj ko dekhne ke liye main dam-e-sahar be-ikhtiyar raat se aage nikal gaya wo pattharon ko karne laga aaina-sifat main had-e-mumkinat se aage nikal gaya manzar bahut khule meri aankhon ke samne lekin main waqiat se aage nikal gaya main han aur ek nahin ke abhi darmiyan hun mera wajud zat se aage nikal gaya