bazar-e-kainat mein ye faisla hua yaran-e-khush-ada ho tamaskhur rawa hua bijli kadak rahi thi ajab ehtimam se bachcha duaen mang raha tha dara hua wahshat nahin junun nahin phir bhi iztirab nau-waridan-e-ishq hua so to kya hua aai thi dasht-e-qais mein ruswa hui chali aawargi ke sath bhi kitna bura hawa main shor karne wale qabile ka fard tha par bolta nahin tha jabhi to khuda hua mahaul khush-gawar hawa bhi thi taza-dam ek phul dast-e-shakh pe naghma-sara hua teri hi guftugu se kiya paida ek khayal phir sher kahne lag gaya lahja naya hua kal raat marka tha ajab darmiyan ka meri to yar khair hai duniya ka kya hua