apne virane ka nuqsan nahin chahta main yani ab dusra insan nahin chahta main kat gai jaisi bhi katni thi yahan dhup ke sath ab kisi sae ka ehsan nahin chahta main mar raha hun main yahan aur wo kahta hai mujhe na-mukammal tera iman nahin chahta main pas aa kar na badha aur pareshani-e-dil phir kisi ishq ka saman nahin chahta main tu mohabbat mein yunhi jaan ganwa baithega ja chala ja ki teri jaan nahin chahta main chahta hun ki yahan phul khile hon har-su yani ye jang ka maidan nahin chahta main main jo chup hun to use aap ghanimat jaanen dekhiye shahr mein tufan nahin chahta main