khidkiyan khol ke kaisi ye sadaen aain yaad ye kis ki dilane ko sadaen aain zehn ki dhund ne umron ko sawali rakkha dhund ke parde se kitni hi shuaen aain tod kar kaun si zanjir ye mujrim aae jurm tha kaun sa un ka jo sazaen aain main tujhe bhul ke duniya se lipat jata hun aisa karne se na jine ki adaen aain jab kabhi khwab jaziron pe bulaya mujh ko khair-maqdam ko mere nur fazaen aain nam ek dil mein dhadakta hai sahifa ban kar is sahife ki hifazat ko hawaen aain