apni aaankhon par wo nindon ki rida odhe hue so raha hai khwab ka ek silsila odhe hue sardiyon ki raat mein wo be-makan muflis bashar kis tarah rahta hai iklauti rida odhe hue ek ajab andaz se aai lahad par ek dulhan chudiyan tode hue dast-e-hina odhe hue khair muqaddam ke liye badhne lagin meri taraf manzilen apne saron par rasta odhe hue ped ke niche zara si chhanw jo us ko mili so gaya mazdur tan par boriya odhe hue teri yaadon ke charaghon ne kiya jhuk kar salam jab chali aandhi koi zor-e-hawa odhe hue bhid mein gum ho gaya ek roz 'shaarib' ka wajud dhundhta hai jism par apna pata odhe hue