chur tha zakhmon se dil zakhmi jigar bhi ho gaya us ko rote the ki suna ye nagar bhi ho gaya log usi surat pareshan hain jidhar bhi dekhiye aur wo kahte hain koh-e-gham to sar bhi ho gaya baam-o-dar par hai musallat aaj bhi sham-e-alam yun to in galiyon se khurshid-e-sahar bhi ho gaya us sitamgar ki haqiqat hum pe zahir ho gai khatm khush-fahmi ki manzil ka safar bhi ho gaya