apni aag mein bhunti jae bunti jae kafan apna goya isi liye chhoda hai chingari ne watan apna jhonke kuchh be-jaan hawa ke aate hain apne-ap chale jhum uthte hain chaman ke pankhe us ko jaan ke fan apna khud-raw sabze chhed rahe hain jangal ke qanun ke rag kab tak bagh mein padhwaenge khutba sarw-o-saman apna dariya-dil hai sahil mera magar yahan har sail-e-bala sail hai ki badha aata hai phailae daman apna mil to jae apne bhanwar ko dariya ke chakkar se najat lekin aah agar rah jaun ho kar main hama-tan apna shama ki lau kya shauq-e-baqa mein shama ko chate jati hai khud ko tarasti rah jati hai ruh mita ke badan apna koi 'muhib' aazurda kyun ho meri talkh-kalami se apni hi jaanib rahta hai akasr ru-e-sukhan apna