bana ke talkh haqaeq se par nikalti hai chatan mein bhi agar ho khabar nikalti hai meri taraf se ijazat hai dekh lo khud hi kahin judai ki surat agar nikalti hai wo tirgi hai ki khud rah dhundne ke liye charagh hath mein le kar sahar nikalti hai ghurur itna bhi kya apni shan shaukat par ye khush-gumani to katwa ke sar nikalti hai mere khayal mein taskhir-e-shash-jihat ke liye teri gali se kahin rahguzar nikalti hai na raat sunti hai 'rahat' fughan-e-said yahan na dhup dekh ke zarf-e-shajar nikalti hai