apni aankhon ko nam karen kaise lazzat-e-dard kam karen kaise jo tasalli bhi de nahin sakte un se izhaar-e-gham karen kaise un ki fitrat mein bewafai hai phir wo hum pe karam karen kaise husn-e-maghrur ki adaon par dil ko qurban hum karen kaise jin pe hai waqt ne sitam dhae wo kisi pe sitam karen kaise jin ke mani hi kuchh nahin hote aise alfaz zam karen kaise maut aati hai ek din 'fani' aaj hi us ka gham karen kaise