dayar-e-ghair mein apne dayar ki baaten hon jaise ahd-e-khizan mein bahaar ki baaten jahan-e-ishq mein ahl-e-dimagh mat dhunden sukun-e-qalb ki baaten qarar ki baaten hazar fitnon ka maskan hai sina-e-adam rumuz-e-ahrman-o-kirdgar ki baaten kashakash-e-ghame-duniya se jab milegi najat karenge gesu-o-rukhsar-e-yar ki baaten mera dimagh bhi majbur dil bhi hai majbur main kis zaban se karun ikhtiyar ki baaten 'qamar' hamin se hain sher-o-adab ke hangame karoge yaad gharib-ud-dayar ki baaten