apni aankhon mein hasin khwab sajae rakkho lakh tufan uthen shama jalae rakkho raat phir raat hai ek roz guzar jaegi subh ki aas azaem mein basae rakkho khwahish-e-dil ki hawa tez bahut hai yaro aag pindar ki sine mein jalae rakkho jitna chaho to har mat saho hans hans kar fikr-e-mayus khayalon se bachae rakkho yun zara der ko dil se hi lubha lete hain baat to jab hai ki ta-umr lubhae rakkho tum ne sach bola hai maslub tumhein hona hai apne kandhe pe salib apni uthae rakkho gar ye chaho ki ayan karb na ho sine ka jaan-e-'shahzad' nigahon se banae rakkho