aankh ko jakde the kal khwab azabon ke main sairab khada tha bich sarabon ke tujh ko kho kar mujh par wo bhi din aae chhup na saka dukh pichhe kai naqabon ke fikr ka tan kab dhanp saki mad-hoshi tak chhod diye nashshon ne hath sharabon ke umr inhi ke sath guzari hai jaanan zakhm mujhe lagte hain phul gulabon ke ek sawal ne jab se mujh ko pahna hai sharminda hain sare rang jawabon ke kis se puchhun main rasta ab tujh ghar ka munh takte hain khali waraq kitabon ke jaane phir kab waqt ye pal dohraega lag ja sine tod ke band hijabon ke mulk mein mere amn ki khwahish jaan-e-man bakri jaise bich mein sau qassabon ke khatm nahin 'shahzad' faqat tujh par takhliq hum bhi pyare khaliq hain kuchh khwabon ke