apni azmat ka nigahban nahin hai koi

apni azmat ka nigahban nahin hai koi
kya ab is daur mein insan nahin hai koi

jis taraf dekhiye ishrat ki farawani hai
aisa lagta hai pareshan nahin hai koi

jo samajhta hi na ho haqq-o-sadaqat kya hai
aaj-kal itna bhi nadan nahin hai koi

apna har aib nazar aata hai aaine mein
dekh kar phir bhi pasheman nahin hai koi

panw jab rakhiye zamin par to rahe dhyan is ka
khak ke zarron mein be-jaan nahin hai koi

hausla sanson se milta hai to ji leta hun
zindagi par mera ehsan nahin hai koi

sab ko malum hai badli hui surat apni
aaina dekh ke hairan nahin hai koi

zindagi gham mein basar karna hai mushkil lekin
muskura dena bhi aasan nahin hai koi

koi kashti nahin mahfuz kinare pe 'laiq'
jab se dariyaon mein haijaan nahin hai koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close