dil-e-nadan ye ulfat ka safar hai yahan manzil nahin bas rahguzar hai gulon se bagh mein kahti hai shabnam bahaar-e-zindagi na-mo'tabar hai bashar ki zindagi hai ek alamat haqiqat mein ye duniya ka safar hai ada-e-kam-nigahi chhod saqi shuur-e-mai-parastan josh par hai khushi par ranj ko tarjih dega kisi insan mein ghairat agar hai chadha leta hai jo chehre pe chehra wahi is daur mein ahl-e-hunar hai khabar jis ko nahin rahti hai apni wahi teri khabar se ba-khabar hai 'laiq' itna to tum bhi jaante ho zamane mein kise kal ki khabar hai