apni bahaar pe hansne walo kitne chaman khashak hue apne rafu ko ginne walo kitne gareban chaak hue diwanon ko kaun batae aaj ki rasm aur aaj ki baat is ne unhin ki samt nazar ki ishq mein jo bebak hue shoabada-e-yak tarz-e-karam hai kaisi saza aur kaisi jaza mauj-e-tabassum jab lahrai tar-daman bhi pak hue rukh dekha jis samt hawa ka us jaanib munh kar ke chale dasht-e-junun ke diwane bhi misl-e-saba chaalak hue khak-e-nasheman jab udti hai dil se dhuan sa uthta hai hadse is gulzar mein warna aur bahut ghamnak hue dekhte dekhte duniya badli gulshan kya virana kya parbat parbat naqsh the jin ke mitte mitte khak hue jaan-e-chaman jo gul the 'akhtar' wo to hue matub o zalil zeb-e-gulistan raunaq-e-gulshan kal ke khas-o-khashak hue