apni ujdi hui duniya ki kahani hun main ek bigdi hui taswir-e-jawani hun main aag ban kar jo kabhi dil mein nihan rahta tha aaj duniya mein usi gham ki nishani hun main hae kya qahr hai marhum jawani ki yaad dil se kahti hai ki khanjar ki rawani hun main aalam-afroz tapish tere liye laya hun ai gham-e-ishq tera ahd-e-jawani hun main charkh hai naghmagar ayyam hain naghme 'akhtar' dastan-go hai gham-e-dahr kahani hun main