apni bhi aisi ek kahani hai

apni bhi aisi ek kahani hai
dard hai aur be-zabani hai

aap kya mujh se sunne aae hain
mera to kaam khud-kalami hai

hum na jo mante the apni bhi
hum ne bhi baat us ki mani hai

ishq hoga to aap jaanenge
aankh mein ashk hain ya pani hai

kan mein ungliyan rakho jaldi
main ne ek aarzu sunani hai

log padhte hain taza nazron se
ishq ki dastan purani hai

dil ko 'salim' ne khub samjhaya
dil ne na manne ki thani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close