tu na ho ham-nafas agar jine ka lutf hi nahin jis mein na tu sharik ho maut hai zindagi nahin ishrat-e-did hai yahi apna bhi kuchh rahe na hosh jalwa ba-qaid-e-tab-e-did asl mein jalwa hi nahin awwal-e-ishq hi mein kya dil ka maal dekhna ye to hai ibtida-e-soz aag abhi lagi nahin ishq hai kaif-e-be-khudi is ko khudi se kya gharaz jis ki faza ho wasl o hijr ishq wo ishq hi nahin ye bhi na ho khabar ki sar sajde mein hai jhuka hua jis mein ho bandagi ka hosh wo koi bandagi nahin kis ka sar-e-niyaz tha pa-e-ayaz par jhuka mana-e-bandagi-e-shauq satwat-e-khusrawi nahin kar na sukun-e-dil ka gham hadi-e-mubtala zara ishq ki bargah mein dard ki kuchh kami nahin