apni dhun mein hi jo chup-chap guzar jata hun tum samajhte ho bade shauq se ghar jata hun le ke chal padta hai mujh ko jo khayalat ka rath jab tere shahar mein pahunche main utar jata hun apne hi dard ki ungli se laga rahne de main gham-e-dahr ki is bhid se dar jata hun koi kis tarah mere jism mein aa jata hai main badan chhod ke apna ye kidhar jata hun tum samajhte ho ki ghar laut gaya hai 'azmi' main to har shab teri dahliz pe mar jata hun